Saturday, November 24, 2007

Josh Malihabadi - Musaddas - Azmatey Insan


Musaddas - 'Azmatey Insan' ke chAnd bAnd

Aey qalam! choab'e khizar, habl'e mateen'e irshaad
shaanaey ge_suey kham_daar'e aroos'e eejaad
qulzumey waqt meiN tuu zamzama'ey baad'e muraad
teiri taareekh meiN beeti hui sadyaaN aabaad

kur'raey khaak'e sAd_anwaar o sAd_aasaar ke saath
raqs meiN hai teri pa'azeib ki jhankaar ke saath

Tuu ba_sAd naaz jidhar se bhi guzar jaata hai
ja'adaey zeest ka hAr zarra saNwar jaata hai
tuu mah'o saal ki yuurish se nikal jaata hai
zarbat'e waqt se kuch aur ubharr jaata hai

toaR deiti hai chaTaanoN ko rawaani teiri
rAs pa aati hai buRhaap'e meiN jawaani teiri

Usske anfaas se khushboo meiN rawaani aai
khaamushi ko rawish'e zamzama khwaani aai
aag darshan ko liye thaal meiN paani aai
uss ne deikha tO Zuleikha pa jawaani aai

usski aawaaz ne dArhaaey ada khoal diyey
tuur se bUn na paRa bAnd'e qaba khoal diyey

Aaadmi! Haafiz o Khayyam o Anees o Urfi
Ghalib o Momin o Firdausi o Mir o Saadi
Khusru o Rumi o Attar o Junaid o Shibli
Yunus o Yusuf o Yaqoob o Sulaiman o Ali

khutbaey hazrat'e khallaq ka mimber insaaN
inteha yeh ki Mohammed sa Payamber insaaN

Jiski hAr saaNs ho ek walwalaey khair'e anaam
neeNd jiski ho ghariboN ki mohabbat meiN haraam
jaadaey khidmat'e insaaN pa jo ho gaRm khiraam
uss uloohi bashariyat pa durood aur salaam

haamil'e auj'e uloohiiyat'e insaaN thEy Husain
haaN isi ja'adaey khidmat pa khiramaaN thEy Husain

No comments: