Saturday, November 24, 2007

Na'at Shareef - Anwar Masood



Na'at Shareef
Anwar Masood

Salaam - Anwar Masood



Salaam'e Hussain
Anwar Masood

Meiraj Faizabadi



Meiraj Faizabadi
MaiN samandar bhi kisi ghair ke haathon se na looN
eik qatrah bhi samandar hai, agar tuu de dEy

Salam - Meiraj Faizabadi



Salaam'e Hussain (AS)
Meiraj Faizabadi

Zindagi ko phir shauurey Karbala darkaar hai

Tabish Dehelvi - Salaam e Hussain



Tabish Dehelvi - Salaam e Hussain (AS)

'Aisi wus'at to yeh aafaaq bhi kUm rakhte haiN'

Salam'e Hussain - Sahibzada Naseeruddin Naseer



Sahibzada Naseeruddin Naseer
Salaam'e Hussain (AS)

Ausaan gUm haiN Sibte Payamber ke saamne
qatrey ki kya bisaat, samander ke saamne

Salam'e Hussain - Sahibzada Naseeruddin Naseer



Sahibzada Naseeruddin Naseer
Salaam'e Hussain (AS)

ausaan kUm haiN Sibte Payamber ke saamne
qatrey ki kya bisaat, samander ke saamne

Yawar Abbas (BBC Urdu Service) - Marsiya - Mie Anees - 02,



Marsiya of Mir Anees
Recited by: Mr. Yawar Abbas

At Muscat in 1993
URL for part - 01
http://www.youtube.com/watch?v=ntriiTVgb_8

Yawar Abbas (BBC Urdu Service) - Marsiya - (Mir Anees) 01



Yawar Abbas Sahab

Marsiya of Mir Anees
At Muscat in 1993
URL for part - 02
http://www.youtube.com/watch?v=TtskjRBUcZ4

Nayyara Noor - SALAM USEY KE AGAR BAADSHAH KAHEn USKO



Qaseedah - Mirza Ghalib*

SALAM USEY KE AGAR BAADSHAH KAHEn USKO
TO PHIR KAHEn KE KUCH ISSE SAWA KAHEn USKO

NA BAADSHAH, NA SULTAAn YEH KYA SATAESH HAI
KAHO KE KHAMISE AALE ABA KAHEIn USKO

KHUDA KI RAAH MEIn SHAAHI WA KHUSRAWI KAISI
KAHO KE RAHBARE RAAHE KHUDA KAHEn USKO

KHUDA KA BANDA, KHUDAWANDGAR BANDOn KA
AGAR KAHEIn NA KHUDAWAND KYA KAHEIn USKO

BHARA HAI GHALIBE DIL KHASTA KE KALAM MEIn DARD
GHALAT NAHEIn HAI KE KHOONEEn NAWA KAHEIn USKO

Josh Malihabadi - Musaddas - Azmatey Insan


Musaddas - 'Azmatey Insan' ke chAnd bAnd

Aey qalam! choab'e khizar, habl'e mateen'e irshaad
shaanaey ge_suey kham_daar'e aroos'e eejaad
qulzumey waqt meiN tuu zamzama'ey baad'e muraad
teiri taareekh meiN beeti hui sadyaaN aabaad

kur'raey khaak'e sAd_anwaar o sAd_aasaar ke saath
raqs meiN hai teri pa'azeib ki jhankaar ke saath

Tuu ba_sAd naaz jidhar se bhi guzar jaata hai
ja'adaey zeest ka hAr zarra saNwar jaata hai
tuu mah'o saal ki yuurish se nikal jaata hai
zarbat'e waqt se kuch aur ubharr jaata hai

toaR deiti hai chaTaanoN ko rawaani teiri
rAs pa aati hai buRhaap'e meiN jawaani teiri

Usske anfaas se khushboo meiN rawaani aai
khaamushi ko rawish'e zamzama khwaani aai
aag darshan ko liye thaal meiN paani aai
uss ne deikha tO Zuleikha pa jawaani aai

usski aawaaz ne dArhaaey ada khoal diyey
tuur se bUn na paRa bAnd'e qaba khoal diyey

Aaadmi! Haafiz o Khayyam o Anees o Urfi
Ghalib o Momin o Firdausi o Mir o Saadi
Khusru o Rumi o Attar o Junaid o Shibli
Yunus o Yusuf o Yaqoob o Sulaiman o Ali

khutbaey hazrat'e khallaq ka mimber insaaN
inteha yeh ki Mohammed sa Payamber insaaN

Jiski hAr saaNs ho ek walwalaey khair'e anaam
neeNd jiski ho ghariboN ki mohabbat meiN haraam
jaadaey khidmat'e insaaN pa jo ho gaRm khiraam
uss uloohi bashariyat pa durood aur salaam

haamil'e auj'e uloohiiyat'e insaaN thEy Husain
haaN isi ja'adaey khidmat pa khiramaaN thEy Husain

Marsiya by Josh* Malihabadi - Mojid O Mufakkir


Josh* Malihabadi, The biggest and the most famous Urdu poet of the 20th century. Apart from "asnaafe sukhan"he has written 9 "Musad'das (Marsiya) of Imam e Hussain (AS)". This clipping is from the Marsiya written by him, it has 116 bUnd. The title of the Marsiya is "Mojid O Mufakkir"

kAr diya tu ne yeh saabit, aey dilaawar 'aadmi'
zindagi kya, maut se leita hai takkar 'aadmi'
kaat sakta hai rAg e gardan se khanjar 'aadmi'
lashkaron ko raUnd sakte haiN bahattar 'aadmi'
zoaf dha sakta hai, qasr'e afsaro aurAng ko,
aab_geen'e toaR sakte haiN hisaare sAng ko...